Wednesday, August 17, 2011

Pehli Mohabbat

Yun to wo bolta nahi kuch
Par chup bhi nahi hai
Ankhein karti hain dil ka hal byaan

Duniya se chahta hai chupana
Batana bhi chahta hai
K kyun hai ye dil bekaraar

Sehma hua hai thoda
Aur khush bhi bahut hai
Pehla pehla hai jo pyar

Ehsas pehli mohabbat ka
Izhar pehli Mohabbat ka
Anmol hota hai
Khushian to aati hain aur bhi kai
Pehli mohabbat ka andaz kuch aur hota hai

5 comments:

Nidhi.. said...

Lovely :-)
Sach mein.. pehle pyar ka nasha kuch aur hi hota hai. Shayad hi kabhi wapis a sakta hai!!

Sidra Sayeed said...

I AM BLUSHING! I hate you for writing that! :P:P:P

I need to call up a junior of mine ;)

Richi Baidwan said...

and of course a teacher of yours ;) :P

adarshs said...

@nidhi...thanks...totally :)

@sidra(do i still hav to use dat name :P )...haha...seems ur not satisfied by tons of pieces being written abt ur fake name :D

No Man is a Loser Who has FRIENDS said...

mohabbat ka rukh jab bhi kiya is dil ne
yun laga ki yehi pehli baar hua hai....
jab tut gya dil to samjhaya ki ye akhiri baar hua hai.
nazrein yun unse mili ...
to ye kissa phir whin se shuru hua....
pehli baar pehli baar.....na jane kitne baar hua.....bas kambakhat pyaar kbhi na hua.....